Sunday, January 25

विवशता

kya bataun main apne haal ko,
chahuonr phaile majboor halaton ke janjal ko,
nirasha pure nabh mein chhai hai
asha ki koi kiran na najar aayi hai.
ji raha hoon jis haal mein main
maut bhi usse sharma rahi hai..

kitne sapne the man-masthisk mein mere
kya kuch na karne ki ichchha thi meri
duniya har roj nayi lagati thi
nitya naye karm ko ye utprerit karti thi.


ab to main aisa hoon
apne aap se hi darta hoon
athak prayatno ke bawjood swayam ko vivash pata hoon.
vivashata jo mere har karm mein jhalakati hai
vivashata jo mujhe har pal tadpati hai

kabhi sochata hoon kya ho gaya hai mujhe?
kahan kho gaya hai tej mera?
kya vastavikta itni dardnak hoti hai
jindagi ko jahar bana deti hai.

kis galti ki saja maine pai hai?
din raat ki mehnat kya yahi rang laayi hai!
par lagta hai ab shayad
kuchh purane dino ki masti ne hi
ye durdasha banai hai.

ab to yahi niras niyati pai hai
ye jo maine apni jindagi banai hai

No comments:

Post a Comment

Tharoor in a pseudo intellectual role till 2019

Mr Tharoor is a learned person...represented India in the UN ...lost the race to be its secretary general not because he was less competen...